ari o! pagal jawani,
kaha ja rahi hai,
kidher ja rahi,
kya dudhati hai yaha,
kya chati hai yaha,
yeh rah nahi aasan hai,
jo tera yeh abhiman hai,
tu hai alhar jawani,
isliye anjan hai.
path me chlne se pahle,
path ki pahchan kar le,
path hai kanto bhra jo,
dar kar piche na hat tu,
chalna usme me sikh le,
usko bhi jitna chah le.
chah le jitna tu rah ki har manjil,
gar kabhi tu haar ja,
nar ho na nirash ho,
haar-jeet tere vash me nahi,
karm tere vash me hai,
kar tu pura use.
roshni na dundh tu,
roshni ban kar tu jee,
dundh na tu sahra,
tu sahra ban kar jee.
phashle kitne bhi ho,
manjil ki rah par,
phashlo ko dur kar,
hawa ka rukh mod kar.
Iish ne nahi kaha ki dunga,
sada swastha neela aakash,
rah me hai mushikal aanek,
kaam tera unko mashlna,
dikha do dunia ko sari,
tu jawani hai,jawani. |